Showing posts with label Umeed Me Galat Tha Main.... Show all posts
Showing posts with label Umeed Me Galat Tha Main.... Show all posts

Wednesday, March 17, 2010

Yu Aadmi Galat NAhi , Par Soch Me Galat Tha Main...

Kuchh Mod Zindgi Ke The, Hua Jahan Galat Tha Main...
Kuchh Manzile Alag Si Thi , Khada Jahan Galat Tha Main...
Apne Hi Ahsaaso Ko Ab, De Chuka Daga Tha Main...
Kuchh Faisle Kiye Galat , Kuchh Risto Me Galat Tha Main...
Yu Aadmi Galat Nahi , Par Soch Me Galat Tha Main...
Harr Aas To Sahi Rakhi , Umeed Me Galat Tha Main...

Ye Zindgi Kya Bann Gayi , Kya Bana na Chahata Tha Main...
Jude The Riste Tod Ke , Akela Ab Hua Tha Main...
Kuch Chahte Dabai Thi , Kuch Hasrte Liye Tha Main...
Halat Kuch The Ban Gaye , Kuch Khud Badal Gaya Tha Main...
Yu Aadmi To Tha Sahi , Par Soch Me Galat Tha Main...
Harr Aas To Sahi Rakhi , Umeed Me Galat Tha Main...