Friday, July 17, 2009

Khali Muskaan ...

Apne hontho pe khaali si ek muskkan liye baitha hoon...

Ha main apne dil me ek toofan liye baitha hoon...

Har aas , har umeed Chhod chuka hoon ab Jeene ki...

Main apne sang saare tute hua armaan liye baitha hoon...

Anjaane me khusiyon ki tamanna kar baitha tha main...

Kisi ko apna banane ke sapne bun baitha tha main...

Khayi vo thoker ki tukdo me bant chuka hoon...

Ek baar fir se shamshaan bana baitha hoon main...

Apne hontho pe khaali si ek muskkan liye baitha hoon...

Ha main apne dil me ek toofan liye baitha hoon...

Tuesday, July 14, 2009

Nanhi Pari...


This is my sweet heart...my lovely cutie pie....

Ise dekhta hoon to apne har dukh dard bhul jaata hoon...

I Love My Bhanji A Lot...

Monday, July 13, 2009

Vo Yaad ban fir se meri zindgi me aa gayi...

Vo Yaad ban fir se meri zindgi me aa gayi...

Jinhe bhula chuka tha , vo gam fir se yaad dila gayi...

Badi Mushkil se chhupa paaya tha apne dil ke zakhmo ko...

Vo ek hi pal me saare zakhm duniya ko dikha gayi...

Main to tod chuka tha sab riste naate duniya se...

Kyu vo fir se aakar har riste ko nibha gayi...

Vo Yaad ban fir se meri zindgi me aa gayi...

Jinhe bhula chuka tha , vo gam fir se yaad dila gayi...

Ha..! chaah to nahi ki thi khusiyoon ki jeevan me...

Vo Kyu har mod , har raah par meri kaante bichha gayi...

Chal pada tha apni kisti lekar manjhdhaar me , doob jaane ko...

Vo gamon ki patvaar thama kar mujhe bacha gayi...

Vo Yaad ban fir se meri zindgi me aa gayi...

Jinhe bhula chuka tha , vo gam fir se yaad dila gayi...

Saturday, July 11, 2009

Na Yaad Aaunga...

Zameen se utha tha main , zameen me mil jaunga...

Na tha kisi ke dil me main , Na kisi ko yaad aaunga...

Ye hi mera naseeb hai , Ye hi hai sab likha hua...

Tha zinda laash abhi talak , Na aage hi jee paunga...

Na tha kisi ke dil me main , Na kisi ko yaad aaunga...



Akela...Tanha...


Main kal bhi akela tha , main aaj bhi akela hoon...

Na koi samjh paaya mujhe , na kisi ne hai chaha mujhe...

Har taraf sannata hai , har taraf khamoshi hai...

Na koi mere saath tha , na koi mere saath hai...

Bas chal pada hoon ek taraf , na anth ka pata mujhe...

In anjaani raaho par hai, sirf fasle hi fasle...

Ye kaunsi dagar meri , ye kaun se hai raaste...

Na hai koi mera yaha , jo hota mere waaste...

Na kisi ko intzaar hai , na koi tkata raaste...

Main kal bhi akela tha , main aaj bhi akela hoon...






Tuesday, July 7, 2009

Vo Khusiyaan...

Kal zindgi phir se khusiyaan lekar aayi thi...

Mere mann ne bhi phir se li angadaayi thi...

Koi aaya tha laut kar kareeb mere phir se...

Phir se dil ke aangan me pyaar ki ghata chhayi thi...

Jaane kaha kho gayi vo khusi ek pal me hi...

Aaj har taraf phir se sannata hai , khamoshi hai...

Pasar Chuki phir se har taraf shamshaan si tanhayi hai...