Thursday, July 22, 2010

Tujhe Me Utar Jaana Chahta Hoon

Is Barish Mein Tujh Sang Bheeg Jaana Chahta Hoon
Apni Is Khawahish Ko Sach Banana Chahta Hoon 
Shabanam Ke Katre Thehre Jo Tere Hoontho Pe Hoon
Apne Hoontho Se Unko Pee Lena Chahta Hoon...
Sawan Ki Boondo Mein Doobe Tere Badan Ko
Bahoon Mein Le Jhoom Jaana Chahta Hoon 
Jinme Basaa Hai Meri Mahobbat Ka Aashiyaana 
Un Nasheeli Nigahon Mein Doob Jaana Chahta Hoon...

Wednesday, July 21, 2010

i Really Mean it...Those Above Lines

Saturday, July 17, 2010

Meri Yaade...

kya bayan kare un fursat k dino ki kahani 
jaha har lamha apne me hi tha rumani...


chand yaado ki aagosh me lipte rehte the...
uneendi aankhiyo me kuch khwab saje rehte the.
..
subha alsayi si masti se phone ki tankar jagati thi...
kaano me unke shabdo ki meethi jhankar bajati thi...


har vo lamha unke aane ka paigam lata tha...
jab haath pakad tu mujhe agle kamre me sulata tha...
khud bhaag ke jaakar maggie ke packets laata tha...
na utha dekh mujhe...khich ke ik laat lagata tha...


ik mis call se unke aane ki warning si mil jaati thi...
agle hi pal vo thar tharati si ghar me chali aati thi...


tum dosto sang gujara har lamha ik nirala tha...
jahan andhere me bhi faila pyar ka ujiyaara tha...


jahan har taraf jalti visvas ki ik baati thi...
jahan har saans li gayi har kasam nibhati thi...


unhi yaado ko samete abhi talak jee raha hu...
yaado ko ashk bana khud hi pee raha hoon...


fil se lautunga tum sang ye visvas liye baitha hoon...
main tumse milne ki dhundhli ik aas liye baitha hoon...

Tuesday, July 13, 2010

main ik aas liye khada hoon

tere dar pe ik chhoti si aas liye khada hoon...
kuchh paane ki darkhs liye khada hoon...
tu khuda hai to thoda karam kar de...
mujh garib ki jholi bhi tere reham se bhar de...


na ruthh is kadar, ye banda jee na payega...
jagat ka palanhar ,tu bhagwaan na kehlayega...
krodh me aajayega gar tu bhi is kadar , tab
tujhme or mujhme  fark kya reh jaayega...

Wednesday, July 7, 2010

Dhokhe..

har mod pe dhokhe khaye hai...har pathar se takraye hai... 
ik tera hi to saath raha...jiske kaaran muskaaye hai... 
kabhi sunepan ne dara diya...kabhi raat me hum ghabraye hai... 
ik tera hi to saath raha... har raah pe hum chal paaye hai...

Khud Ko Bhula Batihe...

teri ishq me dube is kadar, ki khud ko bhula baithe... 
seene me uthti lapto se, apne hi ghar ko jala baithe... 
jaane kesi ik tadap uthi...jaane kesi ik kasak jagi... 
apni aankho ke aashko se,,apni hi naiya duba baithe...