Thursday, April 22, 2010

Kuch Jazbaat...

kitne waqt teri khatir tarsa tab ajakar tum mile...
ek ek aanshu barkha sa barsa tab jaakar tum mile...
yu to kehte rahe ki chura liya hai tumko sabhi se...
khud ko hi luta baithe rahon me tab jaakar tum mile...

mahobbat ke aagosh me khoye the sab bhul kar...
kya pata tha...apni kismet hi khud ko daga degi...

yu to dafan hai kai raaz is dil ke andhiyaaron me...
fir jaane kyu teri yaad har baar ubhar aati hai...
ik pal ki khusi to de jaati hai mujhe , magar
zalim tujhe bhul ne me fir ik umar guzar jaati hai...

fakat phoolon se ghire na raha karo...
kabhi kaante bhi saath diya karte hai...
vo log jinhe tum jaan kaha karte ho...
aksar vo hi zindgi me daga diya karte hai...

Sunday, April 18, 2010

Ankhe Alfaaz

Jubaan se nahi...Nighaon se jo bayan ho.. vo baat hoon main...
Amawas ke kaale andhiyaare me bhi... faili chandni raat hoon mein...
Jinse sajaa rakhi hai tumne apni poori duniya...
Teri dhadkan me chhupe vo hi ankhe jajbaat hoon mein...
Jise khola gaya nahi kabhi...vo bin padhi kitaab hoon main...
Mahobbat bhari thi jinme meri khatir be-panah...Vo jo
Na aa sake labo pe...ha vo hi alfaaz hoon main...

Thursday, April 15, 2010

Unki chahat ki halki si dabi aawaj hoon main...

Kabhi kaha tha, ki zindgi me kuch khaas hoon main...
Mann ki har umeed , dil ki harr aas hoon main...
Chhod chale bich raahon me saath mera...
Ab khete hai ki , durr hokar bhi unki paas hoon main...
Kuch khaas nahi mujhme , magar khaas hoon main.. 
Unki chahat ki halki si dabi aawaj hoon main...

Vaade kiye the kuch  mujhse sang rehungi umar bhar...
Unhi tute vaado ki kasak ka, khali ahsaas hoon main...
Na-umeedi me jee raha hu , bas apni chahat  ke sahare...
Lagta hai ki jaise , Juda hokar bhi , Unke paas hoon main...
Kuch khaas nahi mujhme , magar khaas hoon main..
Unki chahat ki halki si dabi aawaj hoon main...

Is talkhe halak me , alfaaz nahi baaki  mere...
Vo kar de aawaj to, unka har ik saaj hoon main...
Hooton pe naa magar , nigahen kar rahi bayan jise...
Unke seene me dafan apni mahobbat ka vo"RAJ" hoon main...
Kuch khaas nahi mujhme , magar khaas hoon main.. 
Unki chahat ki halki si dabi aawaj hoon main...