Monday, June 29, 2009

Na jane kis talaash me hoon badh chala main kis taraf...

Na mod ka pata mujhe , Na manzeelo ki hai khabar...

Veeraani faili har taraf, kate gire sukhe darakh...

Hai Raahe jaane kaun si , Na jaane kaunsa safar...

Bas badh chala hu ek taraf , teri yaad me Ae humsafar...

Na jane kis talaash me hoon badh chala main kis taraf...

Na mod ka pata mujhe , Na manzeelo ki hai khabar...

Hazaaron muskile mili , Pade hai kaante har taraf...

Is zindgi ki raah me , Hai maut ka sa ye safar...

Tha sang na chala koi , Na raaho me mila mujhe...

Jise me apna kah saku , Jo ban sake mera humsafar...

Na jane kis talaash me hoon badh chala main kis taraf...

Na mod ka pata mujhe , Na manzeelo ki hai khabar...

Na jaane kab tha din hua , Na jaane aayi shaam kab...

Is raah par tha sirf main , Na or koi rahgujar...

Na bandishe thi pyaar ki , Na tha mahobbato ka shor...

Ye kis taraf hoon badh chala , Or kaunsi hai ye dagar...

Na jane kis talaash me hoon badh chala main kis taraf...


Na mod ka pata mujhe , Na manzeelo ki hai khabar...

No comments:

Post a Comment